Umeedo Se Bandha Ek Parinda Hai Insaan

10 September 2020

Umeedo Se Bandha Ek Parinda Hai Insaan

Umeedo Se Bandha Ek Parinda Hai Insaan

Kisiko Roti ki bhukh, Kisiko Bada Makaan,

Yeh dil ki khwaish aisi k mile isse khula Aasman,

Anekta Main Ekta hai, Aisa Mera Desh Mahaan,

Jitni bhi badhe isme Aabadi, Hum Sab K Liye Zaroori Hai Azadi.

 

Khule Mann Se Hum bhi Jiyenge, Badalni hai Hame Desh Ki Pehchaan,

Nahi Dekhi jaati yeh loot aur yeh Barbaadi,

Jitni bhi badhe is desh main Aabadi, Hum Sab K Liye Zaroori Hai Azadi.

 

Koi lade Jatiwaad pe, Koi lade Prantwaad Pe,

Banti Ja Rahi Hai Samadhi Pe Samadhi,

Agar Lado to Apne Haq k liye, Samarpit karo Jeevan kis aur k liye,

Rukni Chahiye yeh Barbaadi,

Chahe Jitni bhi badhe is desh main Aabadi, Zinda Rehne k Liye Zaroori Hai Azadi.

 

Na bair ho kisise, na he ho kisi ka apman,

Dharm, mandir masjid ka nahi ho, inn sab se bada ho insaan,

Main toh chala wahi raah par, bhar ke apne umango ki udaan,

Rukna kaam nahi hai mera, Rukna kaam nahi hai mera,

Badhunga aage Banunga is desh ki pehchaan,

Kar ke rukh utsaah vadi, mujhe bhi pyari hai azadi.

Mujhe bhi pyari hai azadi.

 

By: Piyush Khare

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Founder - Happy Faces Vadodara, Interactive Webstation, Life+ initiative, Paws of Vadodara initiative.



Leave a comment