Kya sarhode me jina aazadi hai, ya saari hado to todna aazadi hai
Kya har baat me apni rai dena aazadi hai, ya har baat pe chup rehna azadi hai
Kya apni marzi se jeena aazadi hai, ya bandisho me rehna azaadi hai
Kya apne sapno ko pura karna azaadi hai, ya apne aramaano ko daba dena aazadi hai
Kya insaano ki aazadi aur jaanwaro ki aazadi me fark hai?
Kya insaan aazad hokar bhi qaid me hai, aur zaanwar chidiyaghar main qaid hokar bhi aazad hai?
Naa to hum apni marzi se paida hue. naa hi apni marzi se iss duniya se rukhsat hoge
Kya azaadi woh hai jo hum samjhte hai? Ya woh jo hum samajh na nahi chahte?
Aazaadi ye hai ke bina kisi ko taklif diye hum apni marzi se Jiye
Aazaadi ye bhi hai ke woh marzi apni naa hote hue bhi dusro ko khush karne ke liye jiye
Iss tarah aazadi ke bahot maayne hai, aur har maayne ko izzat dena bhi aazadi hai
To kya hum sach me aazad hai? Ya ye sirf ek ehsaas hai?
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Leave a comment